Top Urdu Magazine |Urdu Novel | Urdu Jokes| Urdu Poetry

Posts Tagged ‘Urdu Poems

Hazaron manzilein aisi hazaron khawishein aise
Ki na haasil toh dum nikle, jo mil jaye toh dum nikle
Har ek din tay kiya ki ub tere dar par na jayenge
Muqaddar yun ki hur ek raah par tera dar sanam nikle

Nigahon se behakne ke zamane lout ayenge
Magar yeh shart hain ki, benaqaab hokar sanam nikle

Umeedo ke chaman mein aaj ek tara naya aaya
Tamanna hain ki chandani bankar sanam nikle

Jalaya khoob hain maine, nashe mann ko mohabatt mein
Kabhi toh yun bhi ho ki, khud shama bankar sanam nikle

Kisi dariya dili mein usne, nazar bhar ke dekha hain
Mumkin hain meri umeed se badhkar sanam nikle

Mujhe yeh char lamho ki kareebi manzoor nahi taqdeer
Kuch aisa kar ki yeh rishtey, umar bankar sanam nikle

Jo sagar sa nigahon mein utar aaya hain rehne do
mumkin hain ki yun dil ke samandar se sanam nikle

Kab se khamosh si ghum sum si

Kab se khamosh si ghum sum si..
yunhi bethi hoon…..
Samne khat hai tera..
aur dil ke angan mein

Mausam-e-dard..
dabey paoun chala aya hai
Aur zakhmon ki fasal
ab ke bahut achi hai

Baaton baaton mein lage
dil pe jo, uss baat ka zakham

Dil ki mundheron pe
jam jaye jo, uss raat ka zakham

iss siyahi mein jo ghum hugaya
uss saath ka zakham

Jo yaqeen toot ke tabdeel huwa
rezoon mein….
ruhh mein chubte khatakte huwe
zaraat ka zakham
Tum ne likha hai ke..
tum zaat ke zakhmon ko
sehna seekho..
Tum bhi auroon ki tarha
duniya mein rehna seekho
Mashvara hai tu bahut khoob
magar…………….
Essi duniya se kahaan
meri shanasayi hai
Yeh tera khat hai ke
Zakham-e-maseehayi hai…

More Poetry …………..

Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn

Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Kon Kehta Hy k Nafrato’n Main Dard

Kon Kehta Hy k Nafrato’n Main Dard Hy ‘Faraz’
Kuch Mohabbate’n Bhi Bari Aziyat-nak Hoti Hyn !!

Urdu Poetry

Kiyon Tabiaat Kahin Theharti Nahi
Dosti Tau Udaas Karti Nahi

Hum Hamesha Ke Ser Chashm Sahi
Tujh Ko Dekhain Tau Aankh Bharti Nahi

Shab-e-Hijraan Bhi Roz-e-Bad Ki Tarah
Kutt Tau Jaati Hai Par Guzarti Nahi

Sher Bhi Aayton Se Kiya Kum Hein
Hum Pe Mana Wahi Utarti Nahi

Yeh Mohabbat Hai, Sun Zamany Sun
Itni Aasanion Se Marti Nahi

Jiss Tarah Tum Guzaarty Ho Faraz
Zindagi Iss Tarah Guzarti Nahi


About Urdu Magazine

Women Magazine for Indian and Pakistani Women . Women Stuff in Urdu and English Languages. Urdu Recipes, Urdu Poetry, Jokes, Computer Tips, SMS, Islam, Baby Names, Indian Mehndi Desings, Health and News.

Advertisment